Zor o zabardasti se kuch haasil nahin hota
Zor o zabardasti se kuch haasil nahin hota
Qismat ke mukhatib koi ghaafil nahin hota
Bhar jaana to fitrat zakhmon ki hai
Per dil na chaahe to woh mundamil nahin hota
Aadmi aur insan men tafreeq to jaaniye
Yaro, dil insan ka kabhi sang dil nahin hota
Aaj sab kuch jahan men idhar udhar hai vaaiz
Lekin, momin ka imaan muntaqil nahin hota
Saraabon ki dunya men jeena hai aasaan
Magar sarabon men ‘sahil’ mustaqbil nahin hota
Ashok sawhny Sahil