Aarzu hai yeh kaisi taskheer e kaaenaat ki
Aarzu hai yeh kaisi taskheer e kaaenaat ki
Reh gayin baaten kahin hum se mulaqaat ki
Marasim men tijarat to hai zahr se badtar
Ulfat men guftagu na ho kabhi khairaat ki
Har ghari to nahin hoti dil ke behlaane ko
Subh shaam hon saazgaar to baat kya raat ki
Gham bhi ek mausam hai baharon ki maanind
Koi zaamin to nahin hai bahaar e yak saa’at ki
Ahd e maazi kul azaab to na tha, shaair tera
Haafize ko samjha, aur baaten na kar aafaat ki
Zeest, tu jaanti hai mujhe mere khayalaat ko
Fikr mujhe hai nahin teri jeet ya meri maat ki
Khuda se bartar to nahin hai koi vaaiz
Insan woh kya jo karta hai baaten auqaat ki
Pyaar mahabat to rahegi dunya men aabaad
Kar is ki tu baaten ‘sahil’ awwal is jazbaat ki
Ashok sawhny Sahil