Jaanaan abhi maqtal e shauq ki baat mat kijiye
Jaanaan abhi maqtal e shauq ki baat mat kijiye
Haseen hai shaam rangeen raat ki baat mat kijiye
Sab kuch to nahin hota haasil zeest men kisi ko
Dil qatil ko diya to mulaqaat ki baat mat kijiye
Taraqqi ka nasha bhi to hai junoon bahot ajeeb
I pad ka daur qalam dawaat ki baat mat kijiye
Bahot kaafi hai shaikh zindagi ka khushi se guzarna
Hum se kuchh bari hai dunya, kaenaat ki baat mat kijiye
Hamwaar nahin hotey hain raaste sab, kisi ke liye
Nasheb o faraaz libaas hai aafaat ki baat mat kijiye
Hayaat se mazeed yaro tumhen tofa aur kya chahiye
Zeest nahin to kuchh nahin, saughaat ki baat mat kijiye
‘Sahil’, jab yahan be hiss hain sab phir dard ka kya kaam
Ehsaas o khayal niraale, jazbaat ki baat mat kijiye