Jab hum hi na honge to yeh afkaar na honge
Jab hum hi na honge to yeh afkaar na honge
Jo ho phir jahan men hum gunahgaar na honge
Kya hum hi se hotey hain muaamle kharaab
Shayad hum na hon to yeh aazaar na honge
Kya hum hi sabab hain hangamon ke har ja
Hum na rahey to kya yeh shahryaar na honge
Kya ho raha hai vaaiz chal tu hamen bata
Jung ke tassawwur, kya kal gulzaar na honge
Gulsitan na rahey to hoga gulon ka kya
Na gaaye bulbul to mausam saazgaar na honge
Is “on – line” ke tamaashey men sahuliyat to hai
Per, kya woh raah per faqir aur baazaar na honge
Artificial intelligence hi chalayegi ab dunia
Kya lutf hoga phir jab ikhtiyaar na honge
Unsiyaat na rahi, milna julna na raha, phir
Kya kal kisi ke ‘sahil’ koi dost yaar na honge
Ashok sawhny Sahil