Ai Rab mujh se na puchh meri riza kya hai

Ai Rab mujh se na puchh meri riza kya hai
Main tujhse pucchta hun bata teri riza kya hai

Har su hai vahshat dard o hangama ba pa kyon
Tu hi bata is men jeene ka maza kya hai

Maasoom be gunah ba safa bache aur boodhe
Un ke liye har ja yeh naalishon ki sada kya hai

Angaaron ki baarish naseem bhi khafa hai
Tu hi bata maula, nizaam tera to yeh jafa kya hai

Saada lauhi ko bhoola hai ghaafil insan kyon
Ya Rab kyon mili hai hamen yeh saza kya hai

‘Sahil’, sawaal mat puchh jawaab na milenge
Khuda hi jaane hayaat maut aur baqa kya hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *