ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Aaj khud se kiya vaada main ne aur apne zameer se

Aaj khud se kiya vaada main ne aur apne zameer se
Ke hilunga na main phir kabhi us sach ki lakeer se

Phir fitne jhagre tark kiye aur iraade kiye mohkam
Ke shireen hogi meri guftagu har adu o zaheer se

Nahin hoti umeed kisi se asl faqir ko siwa khuda se
Phir dekhta hai kyon ameer usey kaho tehqeer se

Naazuk hain sab ke dil zurur, jazbaat sab be sakhta
Jeetey nahin jaatey dil kisi be hiss taqreer se

Vaaiz, aasaan sa yeh falsafa gar jaan le har insan
Phir baadshah banega man men woh fuzul haqeer se

Khwaab nahin hai zindagi, raaste nahin humwaar
Kaamyaabi kab mili kisey khwabon ki taabeer se

Aks pe aitbaar kaisa, saaye se kya umeed kaho
Shakhsiyat ayaan na hui kisi ki uski haseen tasweer se

Kya hua kaise hua raaegaan hain yeh sawaal sab
Firasatmand wohi hai yaro jo giley na karey taqdeer se

Daastaan aamad o raft ki hai yeh roodad e zindagi
Yaqin nahin ho to kabhi puchhiye kaarwaan e meer se

Sochta, likhta, padhta reh ai, ‘sahil’, tu zurur
Banega tu bhi shayad falsafi ik roz dabeer se

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *