Khudayi na rahi to khuda ka kya hoga
Khudayi na rahi to khuda ka kya hoga
Phir yeh bhi to socho hamara kya hoga
Dafna kar zamin men fikr auron ki kahin
Phir puchhte hain log mera kya hoga
Zamin per kisi se nahin banti kisi ki
Falak men na raha dost to sahara kya hoga
Deewane namrood se aawara hain har ja
Andheri in raaton ka savera kya hoga
Dekhnewala na dekhe, ai naaseh, agar
Mazeed is se kaho andhera kya hoga
‘Sahil’, kyon deta hai tu naseehaten sab ko
Zameer apne ki sun varna tera kya hoga
Ashok sawhny Sahil