Jab be ikhtiyaar hai tu bande to Rab ke sahaarey chal
Jab be ikhtiyaar hai tu bande to Rab ke sahaarey chal
Safina na patwaar tere, tu nadi kinarey chal
Subh shaam ka tamasha kh-mosh reh ke dekh
Barg o baar o shajar tu nazar se sanwaarey chal
Gali basti ku e yaar, hai khushi ka dera nahin koi
Jo bhi guzre nigah se tere khushi se guzaarey chal
Anjaam e zeest se ba khabar jaanta hai tu sab
Maazi ko bhula kar tu mustaqbil ko pukaarey chal
Khud muntazir ho zindagi gar maut ki to kya keejiye
Zahn men uth te raaegaan sawaal tu maarey chal
Yaar hai tu be misaal chaahe khud ka hi ab, ‘sahil’
Humsafar apna sahi, phir usi ke saath tu pyaarey chal
Ashok sawhny Sahil