ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Puchha mujh se khaak ne aaj kis ka tu ghulam hai

Puchha mujh se khaak ne aaj kis ka tu ghulam hai
Kya milta nahin mujhse tujhe sukoon o aaraam hai

Zindagi kya hai yaro puchhiye us phool se
Naseeb men jis ke ek subh aur bas ek shaam hai

Taskeen kya hai kaun batlaye aasaan nahin jawaab
Labon per jis ke har waqt shayad khuda ka naam hai

Insan o qudrat hain pareshan donon ja ba ja dekhiye
Himmat rakho yaro tum woh jaanta hai jis ka nizaam hai

Insan hain sab bhai bhai kyon maanta nahin koi
Ghayab sab ke  dilon se aaj woh kal ka ehtiraam hai

Bar tar hai woh insan be shak doosron se zurur
Khuda ki ibadat hi jis ka, bas mukammal kaam hai

Likhte reh ai ‘sahil’ tu koi padhe na padhe tehreer teri
Andaz e bayaan tera apna hai, yeh tera hi kalaam hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *