Badalte hain zamaane badalte hain insaan sab
Badalte hain zamaane badalte hain insaan sab
Kya tha, kya hai, hain baaten yeh raaegaan sab
Sawalon jawabon men mubtala har ghari
Kya mushkil kya aasaan hain pareshan sab
Saadagi se na waaqif hai bashar aaj ka
Farzi hain chehre masnooyi muskaan sab
Hoti hogi duaon men sauda baazi shayad
Maula se baaten nafa o nuqsan sab
‘Sahil’ aaj dhadakte hain dil sholon ki tarah
Aur hayaat ka lete hain musalsal imtehaan
Ashok sawhny Sahil