Hum jaante hain aaj sab ko ek sumundur chahiye
Hum jaante hain aaj sab ko ek sumundur chahiye
Ham ko apne ghar kinarey to ek nahar chahiye
Jisey aati ho neend mukammal sitaron ke taley roz
Usey shab ki shabnam aur kiran ki sehr chahiye
Ai shaikh, gin kar shajar tere hum kya karen bata
Raahi ko chhaon aur meetha jab samar chahiye
Chaand ki maujudagi men sitaron ka kya wujood
Jeene ke waaste to sab ko bas ek rehbar chahiye
Nazaare to dekhne ko be shumaar hain har taraf
Magar dekhne ko to ek teer e nazar chahiye
Hairatzada hun dekh kar jahan ki main daulat aaj
Sach hai be shak ke yaro neeyat ko jigar chahiye
‘Sahil’, main to yaad e khuda men hi khush hun bahot
Jaane kyon zamane ko aaj duaon ka asar chahiye