ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Na bharey zakhm to kya kijiyega

Na bharey zakhm to kya kijiyega
Na taley gham to kya kijiyega
Marham to bas dua hi hai ‘sahil’
Na navaaze woh karam to kya kijiyega

Naraaz ho khuda to kya kijiyega
Ho hum se woh khafa to kya kijiyega
Anokha hai qahar uska bahot
Aa jaaye zalzala to kya kijiyega

Ai ghaafil insan jeena to seekh
Tu raah e khuda per chalna to seekh
Tu bhoola hai kyon aasaan si yeh baaten
Bas, dosti tu sab se karna to seekh

Maafi talaafi ki hoteen hain baaten
Saazish men guzarti hain bebas yeh raaten
Koi unsiyat nahin, bhai chaara nahin
Khufiya hain sab, kamaal ki yeh mulaaqaaten

Yaro, sunega kaun yeh baaten ‘sahil’ ki
Aaj sunta hai kaun koi baaten kisi dil ki
Khwahishen ajeeb, anjaam ki fikr nahin
Sada kaun sunta hai us aakhiri manzil ki

Jo Mir aur Ghalib ki na sunte hain
To woh kisi aur ki kya sunenge,
Jo zameer apne ki nahin sunte
Woh khuda ki bhi kya sunenge

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *