Sapne sab ke apne apne raahen sab ki apni

Sapne sab ke apne apne raahen sab ki apni

Sajal apne, khwaab apne, aahen sab ki apni

Ghulaam nahin koi kisi ka na hi koi sahukaar
Haal o maazi apne apne yaaden sab ki apni

Mehfil ho ya bazm e khaas ya dasht e tanhayi
Aarzuen bhi apni apni chaahaten sab ki apni

Bande ek, khuda ek, ek nafas ki hayaat, phir bhi
Bata vaaiz, tu bata, kyon zururaten sab ki apni

Zakhm sab ke apne apne dawaayen sab ki apni
Khuda bhi sab ke apne apne duaaen sab ki apni

Khwaab sab ke apne apne neenden sab ki apni
Tawaqqo ki kya baaten ‘sahil’ umeeden sab ki apni

Sajal  Tree
Bazm e khaas  special gathering
Dasht e tanhayi  desert of loneliness
Tawaqqo  expectations

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *