Kabhi suraj ko bhi to dhalte dekho
Kabhi suraj ko bhi to dhalte dekho
Shaam ko shab se milte dekho
Nahin hai farq kisi men koi
Be libaas ko tum pehante dekho
Kya khuda bhi sanwarta hai yaro kabhi
Aayena saaz se tum puchh ke dekho
Ginte ho moti maala piro kar
Khuda hain kitne to gin ke dekho
Ghaafil insan tu samjhega kab
Khuda ek hai jahan ka dhund ke dekho
Na miley to dil men jhaanko kabhi
Khaanon se phir kabhi puchh ke dekho
Tasalli na ho phir bhi agar, to
Farishta e ajal se puchh ke dekho
Tum ne samajhni hai maahiyat to ‘sahil’ ji
Kabhi khuda ko lab e kaafir pe dekho
Ashok sawhny ‘Sahil’