Jazba e ameeri bhi ajeeb saraab hai
Jazba e ameeri bhi ajeeb saraab hai
Har ameer to nahin mukammal zaryaab hai
Hum mashrab hai kaafir momin ka zuroor
Duaon ka yaro amaal men hi jawaab hai
Yaksaan nahin mehakte baaghon men gul kabhi
Har shajar nahin hota haseen zarnaab hai
Na daulat na sarwat, na shaan o shaukat
Ek saans hai zeest taskeen jiski be hisaab hai
Lutf nahin hai kuchh bhi giraane men kisi ko
Uthaane men hai barkat, usi men sawaab hai
Pur sukoon hai sahil bhale paon taley ho ret
Manjhdaar men to yaro khatra e girdaab hai
Maqsad e zeest kya hai aur kya hai hayaat
Vaaiz, yeh gumrahi bhi zabardast azaab hai
Dil ke khaanon men basta hai sab ke khuda
Aur tum kehte ho ‘sahil’ khaana kharab hai
Saraab. Mirage
Zaryaab. Rich
Amaal. Deeds actions
Zarnaab. Name of a Beautiful tree
Sawaab. Reward
Girdaab. Whirlpool
Hum mashrab. Of similar disposition
Azaab Torment , Anguish
Ashok sawhny ‘Sahil’