Story/PoetryTRENDING NEWS

Nur na ho baatin men to sham’a kya jalaoge

Nur na ho baatin men to sham’a kya jalaoge
Pur soz na ho dil to phir gham kya khaoge

Aayene  ke mukhatib ho chehre se na khush
To kor chashm ko naseh tum raah kya dikhlaoge

Gar hasraton men apni be qadar ho ghurub
To kisi aur ki aarzu ko murad bar kya laoge

Na mila sako tum nazren zamin per gar kisi se
Dasstaan tum apni phir sar e baam kya sunaoge

Vaaiz, zahn men aaj sab ke barhainagi hai aisi
Libaas sharm o haya ki tum kisey  kya pehnaoge

Haasil na hua kuch bhi dil e muztar ko kabhi, ‘sahil’
Gar imaan na ho pukhtah to aaraam kya paoge

Muurad bar. To fulfil
Sar e baam. Rooftop
barhainagi. Nudity
Dil e muztar. Restless

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *