Story/PoetryTRENDING NEWS

Lut gaya chamam mera to mujh men kya kamaal tha

Lut gaya chamam mera to mujh men kya kamaal tha
Hisaab musht e khaak se yeh bhi kya sawaal tha

Kya kho gaya, kya lut gaya, fehrist apni tu dikha
Kuchh nahin se pursish kaisi, yeh bhi kya wabaal tha

Nasheb o faraaz dekh kar zeest bani humraah meri
Samhja zeest ko jab main ne phir na kabhi be haal tha

Ajnabi o anjaan tha, khush qismat main insan tha
Takabber mujh men tha nahin khuzu ka isteqbaal tha

Faani zeest ke marte dum tak azal ka ehtimaal tha
‘Sahil’, yeh bhi kaisa zabardast kamaal ka khayal tha

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *