Mizaaj chaman ka barham hai kyon gul nahin aaj khiley hain
Mizaaj chaman ka barham hai kyon gul nahin aaj khiley hain
Sahra men nishan e kauser kaho kab kisey miley hain
Aaram e sahil to naseeb men sab ki nahin likha kabhi
Sayi rafu ki hoti hai per daaman to sab nahin siley hain
Aisa nahin behr koi jo paar hum na kar saken
Rishton men phir mazeed kyon aaj itne faasley hain
Dhulte nahin hain daagh koi barsaaton se kabhi
Aur bujhey angaarey, dosto mere, kab kahin jaltey hain
Kabhi kehte they mehmanon se sada e dil se hum
Aaya karo milne tum yaro dar to hamesha khuley hain
Hua hai kya tehzeeb ko aaj tu hi bata, naaseh, hamen
Shaaistagi ko kyon log aaj be parwa se bhuley hain
Falak sab ka ek hai yeh to maana hum ne, vaaiz
Per kyon nahin phir aasmaan barabar sab ke neeley hain
Zamana, qaabil e ilzaam hai, malamat phir mat kijiye
Fitratan insan sab achhey, nek aur woh bhaley hain
Buzdili to haar hai ‘sahil’ kabhi tu bhi to socha kar
Huzoor, hum ne to qismat ke bhi iraadey badle hain
Ashok sawhny ‘Sahil’