Story/Poetry

Ji chahta hai jaanaan manaayen tum ko

Ji chahta hai jaanaan manaayen tum ko
Palken hain bhaari aao sulayen tum ko

Daastaanen gham ki har ja hain hazaar
Aao ayena ik naya dikhlayen tum ko

Baadalon ke peechhe chhupa hai kaun
Ab Suraj ki kirnon se milwayen tum ko

Subh shaam ke qissey sitaron ki jhil mil
Chaand suraj ki baaten batayen tum ko

Nassem o saba to hawaayen hain bas
Maujon ke sang aaj nachayen tum ko

Sharmayengi kaliyaan aaj dekh kar tumhen
Daad qudrat se milegi, duaen tum ko

Rukna nahin hai tabiyat nadi ki
Chalo ravaani se aaj milwaayen tumko

Mahabat bhi shai kya ajab hai, ‘sahil’
Dil hai aawaara, ab yeh samjhayen tum ko

Ashok sawhny ‘Sahil’

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *