Shaadmaani naam ki mai pilaaye koi
Suroor umda sa phir dilaaye koi
Shaadmaani naam ki mai pilaaye koi
Suroor umda sa phir dilaaye koi
Rindon ko mubarak ho mai ka nasha
Muskurahat se rukh sajaye koi
Ho dil men khushi to muskaan ho haseen
Tab roothon ko ja kar manaye koi
Pehchaan ho jin ki gham se koi, un
Dukhiyaaron ko ja kar samjhaye koi
Khushi bhi marz e waabayi hai khaas
Aisi beemari ab ‘sahil’ phailaye koi
Shaadmaani. Khushi
Jaam. Pyaala
Rind. Sharaabi
Tabassum smile
Waabastagi. Relation connection
Marz e wabaayi. Contagious disease
Ashok sawhny ‘Sahil’