Story/Poetry

Raushan kya hongi gar sham’a na jaley umeedon men

Raushan kya hongi gar sham’a na jaley umeedon men
Udogey kya gar sitaarey na hon khwabon men

Ya rab, muhabat dekh kitni hai aaj insan ko tujh se
Tujhe bhoolta nahin hai woh
museebaton men

Armaan bhi is ke hazaaron hain maula
Per tujhse milne ki khwahish to na hai armanon men

Jab ameeron ko banata hai ameer tu bahot, tab
Kabhi teri bhi hoti hai ginti deewaanon men

Aaj paison ko paison se unsiyat hai itni
Tera to shumaar bhi nahin hai bhagwanon men

Maseeha na ban shifa aasaan nahin hai
Taajir hai tu shaair rab ko na la apne dhandon men

Naseehat deta hai ‘sahil’ aaj khuda ko bhi tu
Yaro, maskhari jo bhari hai meri naseehaton men

Unsiyat pyaar
Shifa healing
Maskhari jocularity

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *