Kya Kijiyega
Kya Kijiyega
Raat ko neend na aaye to kya kijiyega
Dil ki pareshaani sataaye to kya kijiega
Sharaab na ho jaam men to kya kijiyega
Saqi nakhre dikhlaaye to kya kijiyega
Bulbul naghma na sunaye to kya kijiyega
Gar geet us ka rulaaye to kya kijiyega
Bahaar, khizaan ban jaaye to kya kijiyega
Jeene ka lutf na aaye to kya kijiyega
Rooth jaaye sanam ho maathe per shikan
Dil na muskuraaye to kya kijiyega
Naqaab na uthaye rooth jaaye mehbooba
Chaand daagon se bhar jaaye to kya kijiyega
Hai shah e khubaan kaun jannat men kaho
Koi na batlaa paaye to kya kijiyega
Chilman men dil kisi ka gar dekh kar tumhen
Phir tum per aa jaaye to kya kijiyega
Har sawaal ka jawaab nahin hota hai ‘sahil’
Aftaab tujh se ghabraaye to kya kijiyega
Ashok sawhny ‘Sahil’