Aawaaz khamoshi ki sada hoti hi
Aawaaz khamoshi ki sada hoti hi
Kyon ke woh be sada nahin hoti hai
Dil dhadakta hai jaise har waqt, lekin
Sada us ki sunayi nahin deti hai
Dil se to uth te hain mahz jazbaat
Num chashm hi dukh se milaati hai
Gham e mehrumi ka andaaz to yaro
Bas, roti aankh hi bayaan karti hai
Saba, hawa, naseem, fiza ya kuchh aur
Woh shai aur hai, ma ki jo lori sulaati hai
Nahin dara hai ‘sahil’ tufaan se kabhi
Dua, khuda se, jo sukoon dilaati hai
Sada always
Sada awaaz
Mahz sirf
Num chashm teary eye
Gham e mehrumi loneliness ka gham
Naseem zephyr
Ashok sawhny ‘Sahil’