Khamosh, per izhar e payaam hai
Nigah bhi to labrez ek jaam hai
Khamosh, per izhar e payaam hai
Nigah bhi to labrez ek jaam hai
Raunaq fateh ki, har su tamashe, per
Aaj, haarne ka bhi to inaam hai
Log paimaan shikan, zubaan doghli
Kya baat vaadoon ki ab haraam hai
Yeh kahan hun main ‘sahil’ tu bata
Shaitaan ka ya Rab ka nizaam hai
Mushkil nahin hai jawaab iska, yaro
Jab hasraton ka insan ghulaam hai
Izhar e payaam. Signs of a message
Labrez. Brimful
Jaam. Cup
Paimaan shikan. Promise breaker
Hasraton. Desires