Jhanda lehrao, Parcham lehrao
75 baras aazaadi ke manao
Jhanda lehrao, Parcham lehrao
75 baras aazaadi ke manao
Rahen khushiyon se bharey lamhe hamare
Har su hon muskaanen, dil halke hamaare
Aansu giren to khushiyon ke woh bhi
Gham ho zamin se to ho koson dur
Mehakte gulzaar, hon naghme bulbul ke
Goonj geeton ki sunen hum meelon dur
Irshad o Ashok, Gurpreet o Kamraaj
Dost yaar yeh sab , jhagre fitne nadarad
Mandir o Masjid, Gurudwara o Kalisa
Muhabat se bharey hon, jahan bhi hon ma’bad
Desh yeh hamara, mulk hai yeh pyaara
Aisa hi rahey Hindustan yeh hamara,
Bastey hain yahan Bhagwaan o Khuda
Suhana bahot hai aashiyaan yeh hamara
Utha kar jo dekhe nazaren buri se
Duaen uthen ek aawaaz men sab
Hum aahangi ka izhaar, sur sab ka ho ek
“Hindustan” hi boley rooh e saaz men sab
Dua hai ‘sahil’ yeh aisa hi rahey
Hara bhara jab tak jahan hai qaaim,
Baney rashk e jahan Hindustan yeh hamara
Maashuq yeh sab ka, sab ka awwal yeh pyaara.
Jai Hind.
Parcham. Flag
Ma’bad. Place of worship
Hum aahangi. Accordant. In one voice
Kalisa church
Rooh e saaz. Soul of music
Rashk e jahan. Envy of the world