Be saakhta aur daanistah kya
Aandhi aur aahistah kya
Soz e dil ko samjhiye
Dard ya phir hai aah kya
Intekhaab ki hi to baat hai
Pagdandiyan or raasta kya
Hayaat hai sab ki apni apni
Ghafil khud se to waasta kya
Kal subh ki baat, mustaqbil kya
Yeh lamha na jiya phir jiya kya
Anjam e zeest se waaqif sab
Phir, lafz yeh hamesha kya
Sukun ki talaash saraab hai, ‘sahil’
Pal pal ki baat, do rozaah kya