Saturday, November 2, 2024
Latest:
ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Dil ki dhadkan ya aahat mere qadmon ki

Dil ki dhadkan ya aahat mere qadmon ki
Kaun jaane shiddat kya hai mere sadmon ki

Aasaan nahin hai zikr baharon ka kabhi
Hoti hain baaten jab haajatmandon ki

Jalna jalana to hota hai kaam aag ka
Suraj kya jaane tapish baahon ki

Kor chashm hi na jaane gaam apne jab
Kya jaanega bulandiyan woh aasmaanon ki

Falak men hon ya hon woh khaaki
Aaj hoti hain baaten to mahz sitaron ki

Deewaani hai duniya deewaane hain log
Phir fehrist kya hogi danishmandon ki

Koi tanha nahin hai per koi milta nahin hai
Kaho baat kya karni phir mehmaanon ki

Kisi ko dekhne ki fursat hai nahin kisi ko
Jaane kaifiyat kya hogi nigahon ki

Yaro, qismat ki baaten kya karneen aaj
Yahan maujen to hain bas sarabon ki

‘Sahil’, falsafi hi samajhte hain zindagi ko
Woh to roodaad hai bas daastaanon ki

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *