Story/Poetry

Jo zamaane ko na samjhe woh deewaana kahan jaaye

Jo zamaane ko na samjhe woh deewaana kahan jaaye

Jo bhulaaye bhi na bhuley woh afasaana kahan jaaye

Na milna chaaho dosto na sahi, marzi tumhaari hai

Bas, itna to bata do woh bahana kahan jaaye

Rota hai jo khud per us guzre kal ko dekh kar

Woh bhoola woh bisra woh zamaana kahan jaaye

Ja chuki hai bahaar daur khazaan ka hai, baaghbaan

Chahchaana chidyon ka, bulbul ka gungunana kahan jaaye

Raahi, chhord jaayega ik roz tu bhi is jahan ko

Phir, yeh naqsh e pa tera, tera kaashaana kahan jaaye

Jo kabhi khela ho maujon ki ravaani sang, logo

Sahil per ab woh toota sa safina kahan jaaye

Is irtiqa ki daur men shaamil to hum bhi hain ‘sahil’

Qaba zar ki bhi ho, bas yeh andaaz e aamiyana kahan jaaye

Kaashaana. Ghar aashiyan

Maujon ki ravaani. Flow of the waves

Safina. Kashti

Irtiqa. Progress

Qaba. garment

Andaz e aamiyana. Simplicity

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *