Jo kabhi mil kar roye na hon
Jo kabhi mil kar roye na hon
Sitaron taley soye na hon
Woh kya jaanen humnawayi kya hai
Unsiyat ke beej boye na hon
Khud men hon jo mast itne
Auron ko samjhen past itne
Paimaish e ghuroor ho la mahdood
Kya banenge woh dost kitne
Bhule hain jo yeh faani jahan hai
Sadiyon purana woh insan kahan hai
Bhule hain naam qaza ka jo aaj
Manzil ko bhule aur raasta wahan ka
Insan nahin ajnabi hain woh
Insan nahin wali hain woh
Rahbar jahan ke majaazi khuda hain
Sach puchhe to ‘sahil’ sab nakli hain woh
Milega zurur sawaab to milega
Pyaase ko thoda sa aab to milega
Tishnagi na mitegi ta umr, yaro
Hisaab to hisaab to hai, hisaab to milega
Jo bhule hain raah ko woh rahbar hain aaj
Le jayenge kidhar jo be khabar hain aaj
Bhagwan, tu hi samjha jaise tu chaahe
Khudaya, be bas vaaiz aur mimbar hain aaj
Humnawayi .like mindedness
Unsiyat. Fellowship
Past. Lowly
Paimaish e ghuroor. Measure of Arrogance
La Mahdood. Unlimited
Faani. Mortal
Qaza. Death
Wali. Saint
Rahbar. Raasta dikhaana waale
Majaazi khuda. Gods on earth
Sawaab. Reward
Tishnagi. Thirst
Ta Umr. Lifelong
Vaaiz. Preacher
Mimbar. The arch of the pulpit.