ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Hawa ki kya ada thi aaj

Rukh pe thi muskaan us ki
Har ada thi nadaan us ki
Naseem ya saba thi woh
Haseen thi aan baan uski
Hawa ki kya ada thi aaj

Naaz o nakhre waali thi
Chachi na woh saali thi
Jo bhi thi, thi khushnuma
Awwal woh matwaali thi
Hawa ki kya ada thi aaj

Chalti rahi jhulaati rahi
Soton ko wo jagaati rahi
Karam us ka ghaayebaana tha
Naghme woh sunati rahi
Hawa ki kya ada thi aaj

Humsafar thi kuchh der talak
Subh se le kar andher talak
Kiya shab ne ghayab usey
Shayad kal saver talak
Hawa ki kya ada thi aaj

Hum takte rahey dekhte rahey
Woh haath men kahan aani thi
Us ka chalna hi ravaani thi
Uska rukna pareshani thi
Anfaas phir mumkin na they
Hayaat us ki mehrbaani thi

Woh bhi khuda ki ghulaam thi
Zameen pe aur sar e baam thi
Hawa thi fiza thi jaane kaun kya thi
Mukammal woh aaraam thi
Hawa ki kya ada thi aaj

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *