Urdu Ghazal in Roman script written by Ashok Sawhny ” Sahil”
Maut se khaaif kyon woh to jagaaye rakhti hai
‘Sahil’, hayaat hi bediyaan pehnaaye rakhti hai
Nasheb o faraaz to har zindagi ka hissa hai
Qismat bhi khub hisaab banaaye rakhti hai
Pareshan rehti ho jo tulu e aftaab se neend
Woh bad naseeb shab bhar jagaaye rakhti hai
Intekhaab mat kijiye yeh usool nahin hai
Mehmaan navaazi chaadar bichhaaye rakhti hai
Haal men jeena to muhaal nahin hai ‘sahi’
Kambakht yaad e maazi hi sataaye rakhti hai
Khaaif. Afraid
Hayaat. Life
Nasheb o faraaz. Slopes. Ups n downs
Tulu e aaftaab. Sunrise
Intekhaab. Selection
Mehmaan navaazi. Welcoming guests
Muhaal mushkil
Yaad e maazi. Thoughts of the past