Sharm o haya bikti hai baazaaron men
Hunar ko dekha kasa ba dast, aur
Naseeb ke raqs jalwagaahon men
Dekha is khareed o farokht ke jahan men
Sharm o haya bikti hai baazaaron men
Nizam yeh kaisa aur kiska, khudaya
Kya likha hai sab haath ki lakiron men
Maana ke daur khazan ke bhi honge
Lekin, us ka kya kaam baharon men
Aaj aazaadi ka kahin koi nishaan nahin
Bandhe hain sab ghar ki zanjeeron men
Takte hain sab TV aur deewaron ko
Dhundte hain sukun tasweeron men
Marham aur ilaaj kya hai bol, ya rab
Umeed sabki hai teri rehmaton men
Tu raasta deekha, koi raushani gira
Insan ghuroob mushkilon o saraabon men.
Maana ke bhatken hain bande tere
Munaafey aur maali hisaabon men
Per, hain to woh teri gustaakh hi sahi
Ghaafil, la parwa, teri nazron men
Maaf kar de maula naadaan hi samajh kar
Chala de inhen nek rahguzaaron men
Jahan ma’bad ke saath firasat bhi ho
Aur, na giren yeh fitne o hungamon men
Note :
Khareed o farokt : Buy and Sell
Nizam