Woh ruswayi jo kisi ki pehchaan ban gayi
Kisi aur ki woh aala phir shaan ban gayi
Ittefaq ke muamle tu na samjhega vaaiz
Batayenge gar teri bhi daastaan ban gayi
Ghuncha muskuraya phir bana woh ik gul
Kisi aur ki haseen phir muskaan ban gayi
Basa jab se lab per naam maula ka yaro
Be chaini woh dil ki itminaan ban gayi
Jab zindagi ne badla rukh apna ik roz
Phir baad e saba bhi ik imtehan ban gayi
Tameez aayi bin bulaye ghar mere woh jab
Mahaul tha kuch aisa ke wo mehmaan ban gayi
Jaan dene ka vaada kiya jab dost se, tab
Woh dosti phir ‘sahil’ rag e jaan ban gayi
Ashok sawhny Sahil
Leave a Reply