Agar khaar hi khaar ko nikaalega
To chaman ko kaun sambhalega
Paasdaar na ho baaghbaan agar
To phoolon ko kaun sanwaarega
Gar kashti ka haami sahil na ho
To be bas safeena kidhar jaavega
Sunte hain mahlon men jhagre hain khub
Jaane Raaja sukoon kahan paavega
Daastaan na ho to bechaarah goi
Kahaniyan woh kaise sunaavega
Iman nahin, Maa nahin, Vaaiz bata
Andhey ko chaand kaun dikhlavega
Kama le jo chaahe naam o daulat
‘Sahil’ ghar khuda ke kya le jaavega
Ashok sawhny Sahil
Leave a Reply