Khush naseeb hain woh bande jinhen dard ka darmaan miley
Khush naseeb hain woh bande jinhen dard ka darmaan miley
Chalen woh zamin per magar raaston men aasmaan miley
Jaan leva hain yeh hasraten yeh daulaten saari
Faqir se ja puchhe koi, kaise sukoon aasaan miley
Heeron ke bistar, makhmal ke baalish, kisi kaam ke yeh hai nahin
Chain ki neend sota hai jisey taaron taley aashiyan miley
Mehfilon ki raunaqen, jalwagaahon ki chamak, apni jagah
Lekin, Khush rahey jo khud men yaro usey hi jahan miley
Ya Rab, sabz kab hongey khet saare na koi ja veeran miley
Jis taraf dekhen hum Prabhu insan hi Insan miley
‘Sahil’, koi hindu Muslim Sikh isaayi na milen to behtar hai
Rab ke bande milen saare na koi badgumaan miley
Darmaan. Remedy. Cure
Hasraten. Desires
Baalish. Cushions. Pillows
Aashiyaan. Home
Jalwahgah. Places of entertainment
Sabz. Lush Green.
Veeran. Deserted
Badgumaan. Suspicious. Distrustful