ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Khwab toot gaye to neend kya ayegi

Khwab toot gaye to neend kya ayegi
Mujhe hi sada deni hogi zeest to na bulayegi
Be shak anjaam hai qaza, maana, magar
Yaro, kya wo naghma haseen sunayegi
Mukammal aaraam dilayegi,

Baaten dawaam ki hotin hain har ja
Kya maut nazaarey haseen dikhlayegi
Vaaiz, tu bata kya kehta hai ilm o dil tera
Kya woh aab e kauser, mai e naab tak pahunchayegi

Varna,

Aaj ki shaam mujh ko saqi se milayegi
Yaqeenan  jaam o meena qareeb layegi
Aur sharaab mujhe woh nasheeli pilayegi

Dekha karey sarabon men miley jisey tasalli
Karey raah raushan jiski barq e tajaali
Hamen to ‘sahil’ suroor chahiye
Haseen saqi khumgah men miley mutawalli

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *