Ghamon ko sula do
Ghamon ko sula do
Khushiyon ko jaga do
Auron ko hansa do
Dil apne ko rula lo
Gar hai koi aisa nuskha
To hamen bhi bata do
Lekin, zururi hai ke yaro
Bhale nuskha ho na ho
Gar rootha ho koi tum se
To usey phir mana lo
Haath dosti ka tum us se
Dobara phir mila lo
Mushkil nahin hai jeena
Khud ko yeh samjha lo
Phir mushkilon ko yaro
Aasaan tum bana lo
‘Sahil’, tum zindagi ko apni
Bas, khuley dil se apna lo
Ashok sawhny Sahil