Sheeshe ko rukh deekhlana kya
Sheeshe ko rukh deekhlana kya
Dost ko naam batlana kya
Jo bhooley tumhen be hissi se
Usey yaaden phir dilaana kya
Deewanon ki is dunya men
Ab falsafa koi samjhana kya
Khila na ho chaman men agar
To phool woh shagufta kya
Sun ne ko koi tayyar na ho
To naghma bulbul ka aala kya
Jahan fitrat hi aawargi ho
Wahan mastanon ka thikana kya
Na milna chaaho to na milo
Fuzul ka phir bahana kya
Jo dil se jazba na uthey
Bayaan usey phir karna kya
Gar khud se dil ho koson dur
Auron qareeb phir jaana kya
Jo khalwat pasandi ka maail ho
Usey mehfil men shaikh bulana kya
Mehmaan gar khush na ho to phir
Teri khaatiri ne nawaaza kya
‘Sahil’ zameer ho jis ka jaaga hua
Usey Rab ke baare baatana kya
Ashok sawhny Sahil