Rab ko kyon insan ne kabhi marham na samjha
Rab ko kyon insan ne kabhi marham na samjha
Ta’ajub hai, ke yeh baat dair o haram na samjha
Maana usey sab ne bas daata o karam farma
Tabeebah o habeeba o jaanam na samjha
Varna aaj hotey na jhagre na yeh fitne hazaar
Khuda ko humsafar kabhi hum qadam na samjha
Maangi duaen, iltijaayen keen be shumaar
Dene waale ke siwa sach munaeem na samjha
Khushiyaan jo aayeen huin ravaan yak lakhta
Qissa aamad o raft ka to ranj o gham na samjha
Be paayaan yeh armaan samjhaye inhen kaun
Aasaan si yeh baat to aakiri dum na samjha
Kaash, hum khud ko puchh lete garajne se pehle
Auron ka dard ‘sahil’ to zulm o sitam na samjha
Ashok sawhny Sahil