Sham’a to parwaane ko jala deti hai
Sham’a to parwaane ko jala deti hai
Aur halki si hawa sham’a ko bujha deti hai
Wafa ki umeed insanon se kaho kaisi
Jab zeest hi sab ko khud dagha deti hai
Ana pe karey koi aitbaar to kaise
Jab inkisaari sar ko jhuka deti hai
Qismat se bartar koi murshid nahin
Mafhum wo zindagi ka samjha deti hai
Jo roothen hon tum se unhin se puchh lo
Tumhari shirin zubaan unhen mana leti hai
Woh momin hi kya bata hum ko, ‘sahil’
Jo samjhe dua hamen chain nahin sila deti hai
Ashok sawhny Sahil