Kisi apahaj ko zamin pe kabhi chalte dekho
Phir Maayusi ko umeed men badalte dekho
Dil pur sukun kisi ka agar ro padey kabhi
Phir ashkon ko shabnam men tum bante dekho
Zakhm hon be shumaar magar mehr ho khuda ki
To lahu ke qatron ko phir tum simat te dekho
Jaadugar hai dil awwal darjey ka zurur
Usey rotey, aansu peetey, kabhi hanste dekho
Jaisi karni vaisi bharni muhawra to hai lekin
Sach bhi hai yaro, kisi bachhey ko sotey dekho
Neend vaisi aa jaaye amn o chain ka jahan ho, ‘sahil’
Aaj zulmat e shab men jaagte insan, aur aaftaab ko sotey dekho
Ashok sawhny Sahil