ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Kaho shai kaunsi yahan faani nahin hai

Kaho shai kaunsi yahan faani nahin hai
Ik musht e ghubbar aur paani nahin hai
‘Sahil’, taraqqi ke danke bajaati hai dunya
Aur tu kehta hai woh siyaani nahin hai

Yaro, kya zindagi aani jaani nahin hai
Haseen ik saraab jaavidaani nahin hai
Maathe pe shikan taskeen nadarad
Aur tum kehte ho dunya deewaani nahin hai

Shaair, kya dunya aaj haseen nahin hai
Sang e marmar hamara marmareen nahin hai
Niyaten nek , khairyat sab ki dilon men zinda
Kya in baaton per tujhe ab yaqin nahin hai

Logo, tum jaante ho khub jin baaton ko
Unhen khud ko sikhlao, khud ko samjhao
Aasaan si woh baaten tum bachon se seekho
Un men nafraten nahin hotin aankh khol kar dekho

Raah e khuda pe badgumaani nahin hoti
Maqsad e zeest be imaani nahin hoti
Unsiyat phailaana to farz hai insan ka
Sukoot e sumundur men tughyaani nahin hoti

Aaj ki zubaan men kyon cheeni nahin hai
Lafzon men kisi ke shirini nahin hai
Khanjar nigahon men sab ke maujood
Aur tum kehte ho mujh men yaqini nahin hai .

Daulat o sarwat shaadmaani nahin hai
Yeh asliyat hai yaro kahani nahin hai
Haalat tum dil ki tabassum se jaano
Ameeri koi shai la saani nahin hai

Kyon man men kisi ke aaj noorani nahin hai
Dil men, afsos, koi pashemaani nahin hai
Aaj gunaah pe gunah etiraaf karo yaro
Kyon khushnuma yeh zindagaani nahin hai

Hai paison ki hukumat to hairaani nahin hai
Be rahm hai yeh shai koi saani nahin hai
Bazaar hai dunya maan lo tum dosto
Siwa iske yahan kuchh aayeeni nahin hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *