Safar to safar hai ‘sahil’ koi mausam ka bayaan nahin
Safar to safar hai ‘sahil’ koi mausam ka bayaan nahin
Jaise sehar naam subh ka, aftab ka woh ayaan nahin
Sach kitna hai daleelon men, yeh to daleelen jaanen
Sabooton ka bharosa kya, woh sach ka bayaan nahin
Zabt e sukhan hai aqlmandi, posheeda us men sukoon
Khamosh rehnewala naaseh, becharah, be zubaan nahin
Daaman pe daagh, chaak girebaan, mohavarey hain bas
Ghurbat ke alamat be shak, ruswayi ke nishaan nahin
Mandir masjid aur kalisey men jaane se kya hua
Bhooley jo insaniyat ko, woh to phir insan nahin
Sar jhuka kar chalo yaro ibadat khud ho jayegi
Kaakh o gulzaar ka maalik hona to koi shaan nahin
Chaman men gul o khaar hain, dil bhi ek gulsitaan
Khud na chaahe dhadakta dil to woh bayabaan nahin
Jazbaat pecheeda hote hain wazahat ki zururat hai
Jo bhi uthe dil men tere woh to ‘sahil’ armaan nahin
Ashok sawhny Sahil