Karta nahin hai zaalim dil ab betaab mujhe
Karta nahin hai zaalim dil ab betaab mujhe
Milta hai sukun o aaraam be hisaab mujhe
Asl ne bigaara na talawwun e jahan ne kuchh
Nahin dekhne hain khwaab na ab saraab mujhe
Dil khush mera mere naghmon se, be surey sahi
Kya dega amn o chain koi sitar o mizraab mujhe
Rab pe yaqin mohkam mera karam mujh pe hazaar
Karta nahin hai ab koi pareshan azaab mujhe
‘Sahil’, ab karta hun duaen tahammul ke liye main
Chaah nahin jawab ki na chahiye koi sawaab mujhe
Ashok sawhny Sahil