Har baad e mukhaalif udaati nahin
Har baad e mukhaalif udaati nahin
Har aandhi hawa ki giraati nahin
Kuchh bhi nahin hai yaksaan yahan
Har yaad e maazi rulaati nahin
Badalte hain tevar naseem ke bhi
Har baar to woh jhulaati nahin
Bulbul ko bhi aa jaati hai neend
Har waqt to geet woh gaati nahin
Rukta nahin hai lamha koi
Per lakeeren to zeest mitaati nahin
Yaro, aaj dil se dil milte nahin
Afsos, har zubaan mujhe aati nahin
‘Sahil’, Ma ki baat to kuchh aur hi thi
Har lori to mujhe sulaati nahin
Ashok sawhny Sahil