Zindagi kya hai us phool se puchho
Zindagi kya hai us phool se puchho
Naseeb men jis ke ho ek subh ek shaam
Sukoon kya hai yeh to wohi batlaye
Labon pe jis ke ho khuda ka naam
Jab ba ja pareshaan hai insan o qurat
Himmat rakh bande hai yeh
usi ka nizaam
Bande sab bhai unhin ki hain behne
Kyon ghaayab dilon se hai phir ehtiraam
Woh bartar hai insan har insan se yaro
Bas ibadat maula ki ho jis ka kaam
Tu likhte reh ‘sahil’ koi padhe na padhe
Andaz e bayaan tera, hai tera kalaam
Ashok sawhny Sahil