ENTERTAINMENTINDIAStory/PoetryTRENDING NEWS

Taaza Kalaam

Manzar e khaas o manzar e aam kya
Imam kya aur kisi ka ghulaam kya
Ik lamha hai zeest, aankh ki jhapak
Tulu e subh kya, shab o shaam kya

Dukh kya aur kaho sukh kya
Shaanti aur phir taskeen kya
Dhang qismat ke jaane kaun
Kaun ameer aur phir miskeen kya

Darya aur sumundur kya
Dil kisi ke andar kya
Dhadkan kis ne suni kab
Maula kaun aur muqaddar kya

Baat haiwaan aur insan ki hai
Momin ke aasmaan ki hai
Us paar hai kaun aur kahan
Baat yaqin aur bas imaan ki hai

Jannat kis ne dekhi ‘sahil’
Per, nahin hai vaisi koi bhi manzil
Samajhta nahin hai bashar aaj kyon
Kahan gaya hai woh kal ka dil

 

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *