Jo kehna hai be dhadak kaho ishaarey kis liye
Jo kehna hai be dhadak kaho ishaarey kis liye
Andheron men chalna kyon hain sitaarey kis liye
Khud gharaz banogey tum to haasil hoga kya
Zururat padi tab samjhoge hain sahaarey kis liye
Dars miley ya na miley waqt na ruka kabhi
Ghaafil guzaare din o raat to phir guzaarey kis liye
Laazim hai intekhaab bhi tamanaon ke darmiaan
Jaan leva hain jo armaan yaro woh pyaarey kis liye
Doobna hi tha manjdhaar men to sadayen ab kyon
“sahil” ko na yaad kiya to hain woh kinaarey kis liye
Ashok sawhny ‘Sahil’