Kabhi zameer se aankh mila kar ke dekho
Kabhi zameer se aankh mila kar ke dekho
Sar nigoon ho agar to utha kar ke dekho
Khuftah hai dunya be hiss aaj itni
Khudaya, tum bhi isey ab jaga kar ke dekho
Aasaan nahin mushkil hai nusrat bhi bahot
Kabhi khud ko bhi shaikh tum hara kar ke dekho
Yaro, chhooney ki qu’wat to lams hi jaane
Tum kabhi haath se haath mila kar ke dekho
Kabhi yaadon men tum bhi kho jaaya karo
Ma ki woh lori khud ko suna kar ke dekho
Ga lete hain hum bhi naghmaat ulfat ke
Kabhi tum bhi to ‘sahil’ gunguna kar ke dekho
Ashok sawhny ‘Sahil’