Na tamanna gul ki hai na hi kisi khaar ki ab
Na tamanna gul ki hai na hi kisi khaar ki ab
Aarzu na jeet ki na hi fikr kisi haar ki ab
Dil figaron ka jahan badla hai zamaan bahot
Kaun dega khabar kisey kisi sogwaar ki ab
Kehte they ulfat usey pyaar jab sab ka sacha tha
Kharid o farokht ki dunya men baat kis pyaar ki ab
Kabhi waqt se to puchhiye fursat kitni hai usey
Masrufiyat hai pesha sab ka baat kya raftaar ki ab
Kis ki sunen, kis ki maanen, khutbe aur taqreeren sab
Imaan kabhi pukhtah tha hai baat bas aitbaar ki ab
Mubaseer hai ‘sahil’ sahil per, tamaash been woh tanha
Naqsh e pa sab reton per hai intezaar us paar ki ab
Ashok sawhny ‘Sahil’